Sher
"kaho kya mehrban na-mehrban taqdir hoti hai kaha maan ki duaon men baDi tasir hoti hai"
"so meri pyaas ka donon taraf ilaaj nahin udhar hai ek samundar idhar hai ek sarab"
سو میری پیاس کا دونوں طرف علاج نہیں ادھر ہے ایک سمندر ادھر ہے ایک سراب
सो मेरी प्यास का दोनों तरफ़ इलाज नहीं उधर है एक समुंदर इधर है एक सराब

"kaho kya mehrban na-mehrban taqdir hoti hai kaha maan ki duaon men baDi tasir hoti hai"
"zamin ki god men itna sukun tha 'anjum' ki jo gaya vo safar ki thakan bhuul gaya"
"zaban-bandi ke mausam men gali-kuchon ki mat puchho parindon ke chahakne se shajar abad hote hain"
"zara si main ne tarjihat ki tartib badli thi ki aapas men ulajh kar rah ga.e duniya o diin mere"
"kya janen safar khair se guzre ki na guzre tum ghar ka pata bhi mire saman men rakhna"
"kaisa firaq kaisi juda.i kahan ka hijr vo ja.ega agar to khayalon men aa.ega"