Sher
"kahan mila main tujhe ye saval baa'd ka hai tu pahle yaad to kar kis jagah ganvaya mujhe"
"mire mazar pe aa kar diye jala.ega vo mere baa'd miri zindagi men aa.ega"
مرے مزار پہ آ کر دیے جلائے گا وہ میرے بعد مری زندگی میں آئے گا
मिरे मज़ार पे आ कर दिए जलाएगा वो मेरे ब'अद मिरी ज़िंदगी में आएगा

"kahan mila main tujhe ye saval baa'd ka hai tu pahle yaad to kar kis jagah ganvaya mujhe"
"andheri raat hai saaya to ho nahin sakta ye kaun hai jo mire saath saath chalta hai"
"jab tak main pahunchta huun kaDi dhuup men chal kar divar ka saaya pas-e-divar na ho jaa.e"
"mujhe kuchh der rukna chahiye tha vo shayad dekh hi leta palaT kar"
"kuchh tasavir bol paDti hain sab ki sab be-zaban nahin hotin"
"koi tohmat ho mire naam chali aati hai jaise bazar men har ghar se gali aati hai"