Sher
"tiri zamin pe karta raha huun mazduri hai sukhne ko pasina muavza hai kahan"
"kisi bhi kaam men lagta nahin hai dil mera baDe dinon se tabi.at bujhi bujhi si hai"
کسی بھی کام میں لگتا نہیں ہے دل میرا بڑے دنوں سے طبیعت بجھی بجھی سی ہے
किसी भी काम में लगता नहीं है दिल मेरा बड़े दिनों से तबीअत बुझी बुझी सी है

"tiri zamin pe karta raha huun mazduri hai sukhne ko pasina muavza hai kahan"
"tum is raste men kyuun barud bo.e ja rahe ho kisi din is taraf se khud guzarna paD gaya to"
"mujhe khabar hi nahin thi ki ishq ka aghaz ab ibtida se nahin darmiyan se hota hai"
"kahin kahin to zamin asman se unchi hai ye raaz mujh pe khula siDhiyan utarte hue"
"zaviya dhuup ne kuchh aisa banaya hai ki ham saa.e ko jism ki jumbish se juda dekhte hain"
"ghalat-ravi ko tiri main ghalat samajhta huun ye bevafa.i bhi shamil miri vafa men hai"