Sher
"dekh aa kar ki tire hijr men bhi zinda hain tujh se bichhDe the to lagta tha ki mar ja.enge"
"guzarte ja rahe hain qafile tu hi zara ruk ja ghubar-e-rah tere saath chalna chahta huun main"
گزرتے جا رہے ہیں قافلے تو ہی ذرا رک جا غبار راہ تیرے ساتھ چلنا چاہتا ہوں میں
गुज़रते जा रहे हैं क़ाफ़िले तू ही ज़रा रुक जा ग़ुबार-ए-राह तेरे साथ चलना चाहता हूँ मैं

"dekh aa kar ki tire hijr men bhi zinda hain tujh se bichhDe the to lagta tha ki mar ja.enge"
"ham dil se rahe tez havaon ke mukhalif jab tham gaya tufan to qadam ghar se nikala"
"paanv us ke bhi nahin uThte mire ghar ki taraf aur ab ke rasta badla hua mera bhi hai"
"yahi nahin ki kisi yaad ne malul kiya kabhi kabhi to yunhi be-sabab bhi ro.e hain"
"raat aati hai to taqon men jalate hain charagh khvab zinda hain so ankhon men jalate hain charagh"
"kahan bhaTakti phiregi andheri galiyon men ham ik charagh sar-e-kucha-e-hava rakh aa.e"