Sher
"dekh aa kar ki tire hijr men bhi zinda hain tujh se bichhDe the to lagta tha ki mar ja.enge"
"tegh-e-nafas ko bahut naaz tha raftar par ho ga.i akhir mire khuun men naha kar khamosh"
تیغ نفس کو بہت ناز تھا رفتار پر ہو گئی آخر مرے خوں میں نہا کر خموش
तेग़-ए-नफ़स को बहुत नाज़ था रफ़्तार पर हो गई आख़िर मिरे ख़ूँ में नहा कर ख़मोश

"dekh aa kar ki tire hijr men bhi zinda hain tujh se bichhDe the to lagta tha ki mar ja.enge"
"ham dil se rahe tez havaon ke mukhalif jab tham gaya tufan to qadam ghar se nikala"
"paanv us ke bhi nahin uThte mire ghar ki taraf aur ab ke rasta badla hua mera bhi hai"
"yahi nahin ki kisi yaad ne malul kiya kabhi kabhi to yunhi be-sabab bhi ro.e hain"
"raat aati hai to taqon men jalate hain charagh khvab zinda hain so ankhon men jalate hain charagh"
"kahan bhaTakti phiregi andheri galiyon men ham ik charagh sar-e-kucha-e-hava rakh aa.e"