Sher
"dekh aa kar ki tire hijr men bhi zinda hain tujh se bichhDe the to lagta tha ki mar ja.enge"
"tere kuche ki hava puchhe hai ab ham se naam kya hai kya nasab hai ham kahan ke hain"
تیرے کوچے کی ہوا پوچھے ہے اب ہم سے نام کیا ہے کیا نسب ہے ہم کہاں کے ہیں
तेरे कूचे की हवा पूछे है अब हम से नाम क्या है क्या नसब है हम कहाँ के हैं

"dekh aa kar ki tire hijr men bhi zinda hain tujh se bichhDe the to lagta tha ki mar ja.enge"
"ham dil se rahe tez havaon ke mukhalif jab tham gaya tufan to qadam ghar se nikala"
"paanv us ke bhi nahin uThte mire ghar ki taraf aur ab ke rasta badla hua mera bhi hai"
"yahi nahin ki kisi yaad ne malul kiya kabhi kabhi to yunhi be-sabab bhi ro.e hain"
"raat aati hai to taqon men jalate hain charagh khvab zinda hain so ankhon men jalate hain charagh"
"kahan bhaTakti phiregi andheri galiyon men ham ik charagh sar-e-kucha-e-hava rakh aa.e"