Sher
"niind aa.egi bhala kaise use shaam ke ba.ad roTiyan bhi na mayassar hon jise kaam ke ba.ad"
"na jaane khatm hui kab hamari azadi ta.alluqat ki pabandiyan nibhate hue"
نہ جانے ختم ہوئی کب ہماری آزادی تعلقات کی پابندیاں نبھاتے ہوئے
न जाने ख़त्म हुई कब हमारी आज़ादी तअल्लुक़ात की पाबंदियाँ निभाते हुए

"niind aa.egi bhala kaise use shaam ke ba.ad roTiyan bhi na mayassar hon jise kaam ke ba.ad"
"ye kaifiyat hai meri jaan ab tujhe kho kar ki ham ne khud ko bhi paaya nahin bahut din se"
"hai ab bhi bistar-e-jan par tire badan ki shikan main khud hi miTne laga huun use miTate hue"
"ye pahla ishq hai tumhara soch lo mire liye ye rasta naya nahin"
"har ek samt yahan vahshaton ka maskan hai junun ke vaste sahra o ashiyana kya"
"har ek shakhs yahan mahv-e-khvab lagta hai kisi ne ham ko jagaya nahin bahut din se"