Sher
"niind aa.egi bhala kaise use shaam ke ba.ad roTiyan bhi na mayassar hon jise kaam ke ba.ad"
"phir is ke baa'd manaya na jashn khushbu ka lahu men Duubi thi fasl-e-bahar kya karte"
پھر اس کے بعد منایا نہ جشن خوشبو کا لہو میں ڈوبی تھی فصل بہار کیا کرتے
फिर इस के बाद मनाया न जश्न ख़ुश्बू का लहू में डूबी थी फ़स्ल-ए-बहार क्या करते

"niind aa.egi bhala kaise use shaam ke ba.ad roTiyan bhi na mayassar hon jise kaam ke ba.ad"
"ye kaifiyat hai meri jaan ab tujhe kho kar ki ham ne khud ko bhi paaya nahin bahut din se"
"hai ab bhi bistar-e-jan par tire badan ki shikan main khud hi miTne laga huun use miTate hue"
"ye pahla ishq hai tumhara soch lo mire liye ye rasta naya nahin"
"har ek samt yahan vahshaton ka maskan hai junun ke vaste sahra o ashiyana kya"
"har ek shakhs yahan mahv-e-khvab lagta hai kisi ne ham ko jagaya nahin bahut din se"