Sher
"anhoni kuchh zarur hui dil ke saath aaj nadan tha magar ye divana kabhi na tha"
"apni to koi baat bana.e nahin bani kuchh ham na kah sake to kuchh us ne nahin suni"
اپنی تو کوئی بات بنائے نہیں بنی کچھ ہم نہ کہہ سکے تو کچھ اس نے نہیں سنی
अपनी तो कोई बात बनाए नहीं बनी कुछ हम न कह सके तो कुछ उस ने नहीं सुनी

"anhoni kuchh zarur hui dil ke saath aaj nadan tha magar ye divana kabhi na tha"
"har-dil-aziz vo bhi hai ham bhi hain khush-mizaj ab kya bata.en kaise hamari nahin bani"
"dar badar ki khaak thi taqdir men ham liye kandhon pe ghar chalte rahe"
"khud pe ye zulm gavara nahin hoga ham se ham to sho.alon se na guzrenge na siita samjhen"
"dahshat-zada zamin par vahshat bhare makan ye is shahr-e-be-aman ka akhir koi khuda hai"
"kitne saada hain ham ki baiThe hain dagh-e-dil ansuon se dhone ko"