Sher
"zarre zarre men mahak pyaar ki Daali jaa.e bu ta.assub ki har ik dil se nikali jaa.e"
"apne dushman ko bhi khud baDh ke laga lo siine baat bigDi hui is tarah bana li jaa.e"
اپنے دشمن کو بھی خود بڑھ کے لگا لو سینے بات بگڑی ہوئی اس طرح بنا لی جائے
अपने दुश्मन को भी ख़ुद बढ़ के लगा लो सीने बात बिगड़ी हुई इस तरह बना ली जाए

"zarre zarre men mahak pyaar ki Daali jaa.e bu ta.assub ki har ik dil se nikali jaa.e"
"ho ke majbur ye bachchon ko sabaq dena hai ab qalam chhoD ke talvar uTha li jaa.e"
"tere firaq ne ki zindagi ata mujh ko tera visal jo milta to mar gaya hota"
"gar tarannum par hi 'danish' munhasir hai sha.iri phir to duniya bhar ke sha.ir naghma-khvan ho ja.enge"
"muskura kar un ka milna aur bichhaDna ruuTh kar bas yahi do lafz ik din dastan ho ja.enge"
"akhiri vaqt talak saath andheron ne diya raas aate nahin duniya ke ujale mujh ko"