Sher
"jaan ye sarkashi-e-jism tire bas ki nahin meri aghosh men aa la ye musibat mujhe de"
"puuri tarah se ab ke tayyar ho ke nikle ham charagar se milne bimar ho ke nikle"
پوری طرح سے اب کے تیار ہو کے نکلے ہم چارہ گر سے ملنے بیمار ہو کے نکلے
पूरी तरह से अब के तय्यार हो के निकले हम चारागर से मिलने बीमार हो के निकले

"jaan ye sarkashi-e-jism tire bas ki nahin meri aghosh men aa la ye musibat mujhe de"
"hamari ankhon men bas gaya hai ajiib punjab ansuon ka idhar se raavi chala udhar se chanab tayyar ho raha hai"
"jism ka kuuza hai apna aur na ye dariya-e-jan jo laga lega labon se us men bhar ja.enge ham"
"vo chand kah ke gaya tha ki aaj niklega to intizar men baiTha hua huun shaam se main"
"chand bhi hairan dariya bhi pareshani men hai aks kis ka hai ki itni raushni paani men hai"
"ai sadaf sun tujhe phir yaad dila deta huun main ne ik chiiz tujhe di thi guhar karne ko"