Sher
"tumhari shab hai matam-kunan abhi mujh men tumhara dard abhi tak siyah libas men hai"
"kuchh is liye bhi mujhe kamyabi milti hai main apne baaba ke naqsh-e-qadam pe chalti huun"
کچھ اس لیے بھی مجھے کامیابی ملتی ہے میں اپنے بابا کے نقش قدم پہ چلتی ہوں
कुछ इस लिए भी मुझे कामयाबी मिलती है मैं अपने बाबा के नक़्श-ए-क़दम पे चलती हूँ

"tumhari shab hai matam-kunan abhi mujh men tumhara dard abhi tak siyah libas men hai"
"aaj phir tum ko ham ne dekha hai aaj mahshar bani hain ye ankhen"
"mere khvabon men roz aati hain apni ankhen sanbhal kar rakhiye"
"ham ne ghazlon men jo utara hai tiri ankhon ka isti.ara hai"
"meri bina.i kam nahin hogi meri ankhon men maan ka chehra hai"
"dekh suqrat ne bas zahr piya tha lekin zindagi main to tujhe ghol ke pi ja.ungi"