Sher
"kahte hain eid hai aaj apni bhi eid hoti ham ko agar mayassar janan ki diid hoti"
"mahv-e-did-e-chaman-e-shauq hai phir dida-e-shauq gul-e-shadab vahi bulbul-e-shaida hai vahi"
محو دید چمن شوق ہے پھر دیدۂ شوق گل شاداب وہی بلبل شیدا ہے وہی
महव-ए-दीद-ए-चमन-ए-शौक़ है फिर दीदा-ए-शौक़ गुल-ए-शादाब वही बुलबुल-ए-शैदा है वही

"kahte hain eid hai aaj apni bhi eid hoti ham ko agar mayassar janan ki diid hoti"
"dard ulfat ka na ho to zindagi ka kya maza ah-o-zari zindagi hai be-qarari zindagi"
"aah! kal tak vo navazish! aaj itni be-rukhi kuchh to nisbat chahiye anjam ko aghaz se"
"mere pahlu men tum aao ye kahan mere nasib ye bhi kya kam hai tasavvur men to aa jaate ho"
"naaz ne phir kiya aghaz vo andaz-e-niyaz husn-e-jan-soz ko phir soz ka da.ava hai vahi"
"dana-o-dam sambhala mire sayyad ne phir apni gardan hai vahi ishq ka phanda hai vahi"