Sher
"rah-e-talab men kise arzu-e-manzil hai shu.ur ho to safar khud safar ka hasil hai"
"chhaTe ghubar-e-nazar bam-e-tur aa jaa.e piyo sharab ki chehre pe nuur aa jaa.e"
چھٹے غبار نظر بام طور آ جائے پیو شراب کہ چہرے پہ نور آ جائے
छटे ग़ुबार-ए-नज़र बाम-ए-तूर आ जाए पियो शराब कि चेहरे पे नूर आ जाए

"rah-e-talab men kise arzu-e-manzil hai shu.ur ho to safar khud safar ka hasil hai"
"ye chaar din ki rifaqat bhi kam nahin ai dost tamam umr bhala kaun saath deta hai"
"aaj kisi ne baton baton men jab un ka naam liya dil ne jaise Thokar khaa.i dard ne baDh kar thaam liya"
"lab-e-nigar ko zahmat na do khuda ke liye ham ahl-e-shauq zaban-e-nazar samajhte hain"
"ghubar-e-rah chala saath ye bhi kya kam hai safar men aur koi ham-safar mile na mile"
"main ne kab da.ava-e-ilham kiya hai 'taban' likh diya karta huun jo dil pe guzarti jaa.e"