Sher
"zindagi ki baat sun kar kya kahen ik tamanna thi taqaza ban ga.i"
"apne kisi amal pe nadamat nahin mujhe tha nek-dil bahut jo gunahgar mujh men tha"
اپنے کسی عمل پہ ندامت نہیں مجھے تھا نیک دل بہت جو گنہ گار مجھ میں تھا
अपने किसी अमल पे नदामत नहीं मुझे था नेक-दिल बहुत जो गुनहगार मुझ में था

"zindagi ki baat sun kar kya kahen ik tamanna thi taqaza ban ga.i"
"main kuchh na kahun aur ye chahun ki miri baat khushbu ki tarah uD ke tire dil men utar jaa.e"
"tujh se vafa na ki to kisi se vafa na ki kis tarah intiqam liya apne aap se"
"phir miri aas baDha kar mujhe mayus na kar hasil-e-gham ko khuda-ra gham-e-hasil na bana"
"sirf zinda rahne ko zindagi nahin kahte kuchh gham-e-mohabbat ho kuchh gham-e-jahan yaaro"
"daman ko chaak kijiye is ehtiyat se ahl-e-jahan ko zakhm-e-jigar ka guman na ho"