Sher
"in hazaron men aur aap, ye kyaa? aap, jo ek the hazaron men"
"lafzon se bana insan lafzon hi men rahta hai lafzon se sanvarta hai lafzon se bigaDta hai"
لفظوں سے بنا انساں لفظوں ہی میں رہتا ہے لفظوں سے سنورتا ہے لفظوں سے بگڑتا ہے
लफ़्ज़ों से बना इंसाँ लफ़्ज़ों ही में रहता है लफ़्ज़ों से सँवरता है लफ़्ज़ों से बिगड़ता है

"in hazaron men aur aap, ye kyaa? aap, jo ek the hazaron men"
"rote rote mire hansne pe ta.ajjub na karo hai vahi chiiz magar dusre andaz men hai"
"karta huun ek khvab ke mub.ham nuqush yaad jab se khuli hai aankh isi mashghale men huun"
"miri nazar men hai anjam is ta.aqub ka jahan bhi dosti jaati hai dushmani jaa.e"
"tai kar ke dil ka ziina vo ik qatra khuun ka palkon ki chhat tak aaya to lekin gira nahin"
"aaj zindan men use bhi le ga.e jo kabhi ik lafz tak bola nahin"