Quote
"vaqt har zakhm ko bhar deta hai kuchh bhi kiije yaad rah jaati hai halki si chubhan ki had tak"
I
Imran"khvab, ummid, tamanna.en, ta.alluq, rishte jaan le lete hain akhir ye sahare saare"
خواب، امید، تمنائیں، تعلق، رشتے جان لے لیتے ہیں آخر یہ سہارے سارے
ख़्वाब, उम्मीद, तमन्नाएँ, तअल्लुक़, रिश्ते जान ले लेते हैं आख़िर ये सहारे सारे
"vaqt har zakhm ko bhar deta hai kuchh bhi kiije yaad rah jaati hai halki si chubhan ki had tak"
"haar hi jiit hai a.in-e-vafa ki ru se ye vo baazi hai jahan jiit ke haare saare"
"kya jaane shakh-e-vaqt se kis vaqt gir paDun manind-e-barg-e-zard abhi Dolta huun main"
"rang ho raushni ho ya khushbu sab men partav usi hasin ke hain"
"apne lahu men zahr bhi khud gholta huun main soz-e-darun kisi pe nahin kholta huun main"
"ajiib khauf ka mausam hai in dinon 'imrran' sugandh le ke hava duur tak nahin jaati"