Sher
"khvab, ummid, tamanna.en, ta.alluq, rishte jaan le lete hain akhir ye sahare saare"
I
Imran"vaqt har zakhm ko bhar deta hai kuchh bhi kiije yaad rah jaati hai halki si chubhan ki had tak"
وقت ہر زخم کو بھر دیتا ہے کچھ بھی کیجے یاد رہ جاتی ہے ہلکی سی چبھن کی حد تک
वक़्त हर ज़ख़्म को भर देता है कुछ भी कीजे याद रह जाती है हल्की सी चुभन की हद तक
"khvab, ummid, tamanna.en, ta.alluq, rishte jaan le lete hain akhir ye sahare saare"
"haar hi jiit hai a.in-e-vafa ki ru se ye vo baazi hai jahan jiit ke haare saare"
"apne lahu men zahr bhi khud gholta huun main soz-e-darun kisi pe nahin kholta huun main"
"ajiib khauf ka mausam hai in dinon 'imrran' sugandh le ke hava duur tak nahin jaati"
"kya jaane shakh-e-vaqt se kis vaqt gir paDun manind-e-barg-e-zard abhi Dolta huun main"
"rang ho raushni ho ya khushbu sab men partav usi hasin ke hain"