Sher
"nahin nahin main bahut khush raha huun tere baghair yaqin kar ki ye halat abhi abhi hui hai"
"vo guftugu jo miri sirf apne-ap se thi tiri nigah ko pahunchi to sha.iri hui hai"
وہ گفتگو جو مری صرف اپنے آپ سے تھی تری نگاہ کو پہنچی تو شاعری ہوئی ہے
वो गुफ़्तुगू जो मिरी सिर्फ़ अपने-आप से थी तिरी निगाह को पहुँची तो शाइरी हुई है

"nahin nahin main bahut khush raha huun tere baghair yaqin kar ki ye halat abhi abhi hui hai"
"ik chubhan hai ki jo bechain kiye rahti hai aisa lagta hai ki kuchh TuuT gaya hai mujh men"
"main tujh se saath bhi to umar bhar ka chahta tha so ab tujh se gila bhi umar bhar ka ho gaya hai"
"aisi duniya men kab tak guzara karen tum hi kah do ki kaise gavara karen raat mujh se miri bebasi ne kaha bebasi ke liye ek taaza ghazal"
"jo aql se badan ko mili thii, vo thi havas jo ruuh ko junun se mila hai, ye ishq hai"
"abad mujh men tere siva aur kaun hai? tujh se bichhaD raha huun tujhe kho nahin raha"