Sher
"uTho ye manzar-e-shab-tab dekhne ke liye ki niind shart nahin khvab dekhne ke liye"
"ajab nahin ki ye dariya nazar ka dhoka ho ajab nahin ki koi rasta nikal aa.e"
عجب نہیں کہ یہ دریا نظر کا دھوکا ہو عجب نہیں کہ کوئی راستہ نکل آئے
अजब नहीं कि ये दरिया नज़र का धोका हो अजब नहीं कि कोई रास्ता निकल आए

"uTho ye manzar-e-shab-tab dekhne ke liye ki niind shart nahin khvab dekhne ke liye"
"badan men jaise lahu taziyana ho gaya hai use gale se laga.e zamana ho gaya hai"
"main teri manzil-e-jan tak pahunch to sakta hun magar ye raah badan ki taraf se aati hai"
"ye hu ka vaqt ye jangal ghana ye kaali raat suno yahan koi khatra nahin Thahar jaao"
"kuchh harf o sukhan pahle to akhbar men aaya phir ishq mira kucha o bazar men aaya"
"tum se mile to khud se ziyada tum ko akela paaya ham ne"