Sher
"uTho ye manzar-e-shab-tab dekhne ke liye ki niind shart nahin khvab dekhne ke liye"
"tum parindon se ziyada to nahin ho azad shaam hone ko hai ab ghar ki taraf lauT chalo"
تم پرندوں سے زیادہ تو نہیں ہو آزاد شام ہونے کو ہے اب گھر کی طرف لوٹ چلو
तुम परिंदों से ज़ियादा तो नहीं हो आज़ाद शाम होने को है अब घर की तरफ़ लौट चलो

"uTho ye manzar-e-shab-tab dekhne ke liye ki niind shart nahin khvab dekhne ke liye"
"badan men jaise lahu taziyana ho gaya hai use gale se laga.e zamana ho gaya hai"
"main teri manzil-e-jan tak pahunch to sakta hun magar ye raah badan ki taraf se aati hai"
"ye hu ka vaqt ye jangal ghana ye kaali raat suno yahan koi khatra nahin Thahar jaao"
"kuchh harf o sukhan pahle to akhbar men aaya phir ishq mira kucha o bazar men aaya"
"tum se mile to khud se ziyada tum ko akela paaya ham ne"