Sher
"un ke honTon par aaya tabassum udhar nabz-e-alam idhar tez-tar ho ga.i"
"jahan kahin bhi koi dil-figar hota hai vahin pe saya-e-parvardigar hota hai"
جہاں کہیں بھی کوئی دل فگار ہوتا ہے وہیں پہ سایۂ پروردگار ہوتا ہے
जहाँ कहीं भी कोई दिल-फ़िगार होता है वहीं पे साया-ए-परवरदिगार होता है

"un ke honTon par aaya tabassum udhar nabz-e-alam idhar tez-tar ho ga.i"
"donon hathon se masarrat ko luTaya hai 'habib' gham ki daulat to magar tum se luTa.i na ga.i"
"har ik fasurda qalb pe chha.i shaguftagi jab chhiD ga.i hai bazm men us gul-badan ki baat"
"ya guftugu ho un lab-o-rukhsar-o-zulf ki ya un khamosh nazron ke lutf-e-sukhan ki baat"
"is sina-e-viran men khila.e na kabhi phuul kyon baagh pe itrati rahi bad-e-saba hai"
"TuuT jaate hain jo duniya ke sahare saare parda-e-ghaib se hota hai sahara paida"