Sher
"samand-e-khvab vahan chhoD kar ravana hua jahan suragh-e-safar koi naqsh-e-pa na hua"
"ajiib aag laga kar koi ravana hua mire makan ko jalte hue zamana hua"
عجیب آگ لگا کر کوئی روانہ ہوا مرے مکان کو جلتے ہوئے زمانہ ہوا
अजीब आग लगा कर कोई रवाना हुआ मिरे मकान को जलते हुए ज़माना हुआ

"samand-e-khvab vahan chhoD kar ravana hua jahan suragh-e-safar koi naqsh-e-pa na hua"
"lauT bhi aaya to sadiyon ki thakan la.ega sub.h ka bhula hua shaam ko ghar aane tak"
"sadiyon ka intishar fasilon men qaid tha dastak ye kis ne di ki imarat bikhar ga.i"
"main lafz-e-kham huun koi ki tarjuman-e-ghazal ye faisla kisi taaza kitab par Thahra"
"kaun hai tujh sa jo banTe miri din bhar ki thakan muzmahil raat hai bistar ka badan dukhta hai"
"hava ki god men mauj-e-sarab bhi hogi girenge phuul to Thahregi gard shakhon par"