Sher
"dil men kisi ke raah kiye ja raha huun main kitna hasin gunah kiye ja raha huun main"
"ham ko miTa sake ye zamane men dam nahin ham se zamana khud hai zamane se ham nahin"
ہم کو مٹا سکے یہ زمانہ میں دم نہیں ہم سے زمانہ خود ہے زمانے سے ہم نہیں
हम को मिटा सके ये ज़माने में दम नहीं हम से ज़माना ख़ुद है ज़माने से हम नहीं

"dil men kisi ke raah kiye ja raha huun main kitna hasin gunah kiye ja raha huun main"
"un ka jo farz hai vo ahl-e-siyasat janen mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche"
"apna zamana aap banate hain ahl-e-dil ham vo nahin ki jin ko zamana bana gaya"
"teri ankhon ka kuchh qusur nahin haan mujhi ko kharab hona tha"
"kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai ham khak-nashinon ki Thokar men zamana hai"
"ye ishq nahin asan itna hi samajh liije ik aag ka dariya hai aur Duub ke jaana hai"