Sher
"zindagi shayad isi ka naam hai duriyan majburiyan tanha.iyan"
"dar-o-divar pe shaklen si banane aa.i phir ye barish miri tanha.i churane aa.i"
در و دیوار پہ شکلیں سی بنانے آئی پھر یہ بارش مری تنہائی چرانے آئی
दर-ओ-दीवार पे शक्लें सी बनाने आई फिर ये बारिश मिरी तंहाई चुराने आई

"zindagi shayad isi ka naam hai duriyan majburiyan tanha.iyan"
"daagh duniya ne diye zakhm zamane se mile ham ko tohfe ye tumhen dost banane se mile"
"tujhe kaun janta tha miri dosti se pahle tira husn kuchh nahin tha miri sha.iri se pahle"
"tera chehra kitna suhana lagta hai tere aage chand purana lagta hai"
"maan ki aghosh men kal maut ki aghosh men aaj ham ko duniya men ye do vaqt suhane se mile"
"jan-e-bahar tum ne vo kanTe chubho.e hain main har gul-e-shagufta ko chhune se Dar gaya"