Sher
"'kanval' khushi ki hua karti hai yunhi takmil gham-e-hayat ke har bahr-e-be-karan se guzar"
"jis ne buniyad gulistan ki kabhi Daali thi us ko gulshan se guzarne nahin deti duniya"
جس نے بنیاد گلستاں کی کبھی ڈالی تھی اس کو گلشن سے گزرنے نہیں دیتی دنیا
जिस ने बुनियाद गुलिस्ताँ की कभी डाली थी उस को गुलशन से गुज़रने नहीं देती दुनिया

"'kanval' khushi ki hua karti hai yunhi takmil gham-e-hayat ke har bahr-e-be-karan se guzar"
"hansi men kaTti thiin raten khushi men din guzarta tha 'kanval' maazi ka afsana na tum bhule na ham bhule"
"gham-e-dauran gham-e-janan gham-e-uqba gham-e-duniya 'kanval' is zindagi men gham ke maron ko na chain aaya"
"kuchh bujhi bujhi si hai anjuman na jaane kyuun zindagi men pinhan hai ik chubhan na jaane kyuun"
"zindagi gum na dosti gum hai ye haqiqat hai aadmi gum hai"