Sher
"miri jaan teri khatir jaan ka sauda bahut mahnga bhi hai dushvar bhi hai"
"ye vaqfa sa.aton ka chand sadiyon ke barabar hai vo ab avaz dete hain to pahchani nahin jaati"
یہ وقفہ ساعتوں کا چند صدیوں کے برابر ہے وہ اب آواز دیتے ہیں تو پہچانی نہیں جاتی
ये वक़्फ़ा साअ'तों का चंद सदियों के बराबर है वो अब आवाज़ देते हैं तो पहचानी नहीं जाती

"miri jaan teri khatir jaan ka sauda bahut mahnga bhi hai dushvar bhi hai"
"ghuTan to dil ki rahi qasr-e-marmarin men bhi na raushni se hua kuchh na kuchh hava se hua"
"tumhare naam pe dil ab bhi ruk sa jaata hai ye baat vo hai ki is se mafar nahin hota"
"hijr ki baat ya visal ki baat dil ne phir ki tire malal ki"
"vo kahan aur harf-e-talkh kahan tum ne ki hogi ishti.al ki baat"
"bahut hain sajda-gahen par dar-e-janan nahin milta hazaron devta hain har taraf insan nahin milta"