Sher
"dusron par agar tabsira kijiye samne aa.ina rakh liya kijiye"
"dua ye hai na hon gumrah ham-safar mere 'khumar' main ne to apna safar tamam kiya"
دعا یہ ہے نہ ہوں گمراہ ہم سفر میرے خمارؔ میں نے تو اپنا سفر تمام کیا
दुआ ये है न हों गुमराह हम-सफ़र मेरे 'ख़ुमार' मैं ने तो अपना सफ़र तमाम किया

"dusron par agar tabsira kijiye samne aa.ina rakh liya kijiye"
"vahi phir mujhe yaad aane lage hain jinhen bhulne men zamane lage hain"
"suna hai hamen vo bhulane lage hain to kya ham unhen yaad aane lage hain"
"hairat hai tum ko dekh ke masjid men ai 'khumar' kya baat ho ga.i jo khuda yaad aa gaya"
"ab in hudud men laaya hai intizar mujhe vo aa bhi jaa.en to aa.e na e'tibar mujhe"
"bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khud-kushi ka maza ham se puchhiye"