Sher
"ab to badan ke jalne ki bu shahr bhar men hai kahna bhi narava hai so kahta nahin koi"
"hamen aziiz hain in bastiyon ki divaren ki jin ke saa.e bhi divar bante jaate the"
ہمیں عزیز ہیں ان بستیوں کی دیواریں کہ جن کے سائے بھی دیوار بنتے جاتے تھے
हमें अज़ीज़ हैं इन बस्तियों की दीवारें कि जिन के साए भी दीवार बनते जाते थे

"ab to badan ke jalne ki bu shahr bhar men hai kahna bhi narava hai so kahta nahin koi"
"maang men Tankne aaya tha sitare koi dil ko kya sujhi ki us khvab ko bimar kiya"
"hamen dekho hamare paas baiTho ham se kuchh sikho hamin ne pyaar manga tha hamin ne daagh paa.e hain"
"dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle us ko bhi bhulna achchha laga pahle pahle"
"dil men hai mulaqat ki khvahish ki dabi aag mehndi lage hathon ko chhupa kar kahan rakkhun"
"paani ka bahav tham gaya hai nikli hai nadi se vo naha kar"