Sher
"ab to badan ke jalne ki bu shahr bhar men hai kahna bhi narava hai so kahta nahin koi"
"javan gehun ke kheton ko dekh kar ro den vo laDkiyan ki jinhen bhuul baiThin maa.en bhi"
جوان گیہوں کے کھیتوں کو دیکھ کر رو دیں وہ لڑکیاں کہ جنہیں بھول بیٹھیں مائیں بھی
जवान गेहूँ के खेतों को देख कर रो दें वो लड़कियाँ कि जिन्हें भूल बैठीं माएँ भी

"ab to badan ke jalne ki bu shahr bhar men hai kahna bhi narava hai so kahta nahin koi"
"maang men Tankne aaya tha sitare koi dil ko kya sujhi ki us khvab ko bimar kiya"
"hamen dekho hamare paas baiTho ham se kuchh sikho hamin ne pyaar manga tha hamin ne daagh paa.e hain"
"dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle us ko bhi bhulna achchha laga pahle pahle"
"dil men hai mulaqat ki khvahish ki dabi aag mehndi lage hathon ko chhupa kar kahan rakkhun"
"paani ka bahav tham gaya hai nikli hai nadi se vo naha kar"