Sher
"ab to badan ke jalne ki bu shahr bhar men hai kahna bhi narava hai so kahta nahin koi"
"laraz rahi hai zamin sahmi laDkiyon ki tarah pukarti hai ki tanha na chhoD kar jaana"
لرز رہی ہے زمیں سہمی لڑکیوں کی طرح پکارتی ہے کہ تنہا نہ چھوڑ کر جانا
लरज़ रही है ज़मीं सहमी लड़कियों की तरह पुकारती है कि तन्हा न छोड़ कर जाना

"ab to badan ke jalne ki bu shahr bhar men hai kahna bhi narava hai so kahta nahin koi"
"maang men Tankne aaya tha sitare koi dil ko kya sujhi ki us khvab ko bimar kiya"
"hamen dekho hamare paas baiTho ham se kuchh sikho hamin ne pyaar manga tha hamin ne daagh paa.e hain"
"dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle us ko bhi bhulna achchha laga pahle pahle"
"dil men hai mulaqat ki khvahish ki dabi aag mehndi lage hathon ko chhupa kar kahan rakkhun"
"paani ka bahav tham gaya hai nikli hai nadi se vo naha kar"