Sher
"main vahm huun ki haqiqat ye haal dekhne ko giraft hota huun apna visal dekhne ko"
"us ko khona asl men us ko paana hai hasil ka hi partav hai la-hasil men"
اس کو کھونا اصل میں اس کو پانا ہے حاصل کا ہی پرتو ہے لا حاصل میں
उस को खोना अस्ल में उस को पाना है हासिल का ही परतव है ला-हासिल में

"main vahm huun ki haqiqat ye haal dekhne ko giraft hota huun apna visal dekhne ko"
"safar na ho to ye lutf-e-safar hai be-ma.ani badan na ho to bhala kya qaba men rakkha hai"
"kab tak tu asman men chhup ke baiThega maang raha huun main kab se dua bahar aa"
"un se kya rishta tha vo kya mere lagte the girne lage jab peD se patte to main roya bahut"
"kyuun mujhe mahsus ye hota hai aksar raat bhar sina-e-shab par chamakta hai samundar raat bhar"
"main to tha maujud kitab ke lafzon men vo hi shayad mujh ko paDhna bhuul gaya"