Sher
"'saba' ham ne to hargiz kuchh na dekha jazb-e-ulfat men ghalat ye baat kahte hain ki dil ko raah hai dil se"
L
Lala Kanji Mal Saba"kya tu ne kuchh 'saba' se ai tund-khu kaha hai rota hua idhar se ba-chashm-e-tar gaya hai"
کیا تو نے کچھ صباؔ سے اے تند خو کہا ہے روتا ہوا ادھر سے با چشم تر گیا ہے
क्या तू ने कुछ 'सबा' से ऐ तुंद-ख़ू कहा है रोता हुआ इधर से बा-चश्म-ए-तर गया है
"'saba' ham ne to hargiz kuchh na dekha jazb-e-ulfat men ghalat ye baat kahte hain ki dil ko raah hai dil se"
"nahin ma.alum ai yaaro 'saba' ke dil men kya aaya abhi jo baiThe baiThe vo yakayak aah kar uTTha"
"bhaTka phire hai majnun laila ke qafile men ye puchhta ki yaaro mahmil kidhar gaya hai"
"naseh nasihaten ye kahan yaad rahti hain hazrat abhi kisi se tabi.at lagi nahin"