Sher
"tiri bazm-e-tarab men aa gaya huun magar dil ko sukun hasil nahin hai"
"bahut dushvar thi rah-e-mohabbat hamara saath dete ham-safar kya"
بہت دشوار تھی راہ محبت ہمارا ساتھ دیتے ہم سفر کیا
बहुत दुश्वार थी राह-ए-मोहब्बत हमारा साथ देते हम-सफ़र क्या

"tiri bazm-e-tarab men aa gaya huun magar dil ko sukun hasil nahin hai"
"zindagi ka bana sahara bhi aur un ke karam ne maara bhi"
"un mast nigahon ne khud apna bharam khola inkar ke parde men iqrar nazar aa.e"
"haal kah dete hain nazuk se ishare akasr kitni khamosh nigahon ki zaban hoti hai"
"meri khamoshiyon ke aalam men guunj uThti hai aap ki avaz"
"kaun samjhe ham pe kya guzri hai 'naqsh' dil laraz uThta hai zikr-e-sham se"