Sher
"yahi hai zindagi apni yahi hai bandagi apni ki un ka naam aaya aur gardan jhuk ga.i apni"
"agar khamosh rahun main to tu hi sab kuchh hai jo kuchh kaha to tira husn ho gaya mahdud"
اگر خموش رہوں میں تو تو ہی سب کچھ ہے جو کچھ کہا تو ترا حسن ہو گیا محدود
अगर ख़मोश रहूँ मैं तो तू ही सब कुछ है जो कुछ कहा तो तिरा हुस्न हो गया महदूद

"yahi hai zindagi apni yahi hai bandagi apni ki un ka naam aaya aur gardan jhuk ga.i apni"
"parvane aa hi ja.enge khinch kar ba-jabr-e-ishq mahfil men sirf sham.a jalane ki der hai"
"sunate ho kise ahval 'mahir' vahan to muskuraya ja raha hai"
"yuun kar raha huun un ki mohabbat ke tazkire jaise ki un se meri baDi rasm-o-rah thi"
"aql kahti hai dobara azmana jahl hai dil ye kahta hai fareb-e-dost khate ja.iye"
"naqab-e-rukh uThaya ja raha hai vo nikli dhuup saaya ja raha hai"