"yahi hai zindagi apni yahi hai bandagi apni ki un ka naam aaya aur gardan jhuk ga.i apni"

Mahirul Qadri
Mahirul Qadri
Sherशेर
See all 10 →yahi hai zindagi apni yahi hai bandagi apni
यही है ज़िंदगी अपनी यही है बंदगी अपनी
ye kah ke dil ne mire hausle baDha.e hain
ये कह के दिल ने मिरे हौसले बढ़ाए हैं
aql kahti hai dobara azmana jahl hai
अक़्ल कहती है दोबारा आज़माना जहल है
ik baar tujhe aql ne chaha tha bhulana
इक बार तुझे अक़्ल ने चाहा था भुलाना
ibtida vo thi ki jiine ke liye marta tha main
इब्तिदा वो थी कि जीने के लिए मरता था मैं
agar khamosh rahun main to tu hi sab kuchh hai
अगर ख़मोश रहूँ मैं तो तू ही सब कुछ है
Popular Sher & Shayari
20 total"ye kah ke dil ne mire hausle baDha.e hain ghamon ki dhuup ke aage khushi ke saa.e hain"
"aql kahti hai dobara azmana jahl hai dil ye kahta hai fareb-e-dost khate ja.iye"
"ik baar tujhe aql ne chaha tha bhulana sau baar junun ne tiri tasvir dikha di"
"ibtida vo thi ki jiine ke liye marta tha main intiha ye hai ki marne ki bhi hasrat na rahi"
"agar khamosh rahun main to tu hi sab kuchh hai jo kuchh kaha to tira husn ho gaya mahdud"
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
agar khamosh rahun main to tu hi sab kuchh hai
jo kuchh kahaa to tiraa husn ho gayaa mahdud
naqaab-e-rukh uThaayaa jaa rahaa hai
vo nikli dhuup saayaa jaa rahaa hai
ye kah ke dil ne mire hausle baDhaae hain
ghamon ki dhuup ke aage khushi ke saae hain
ik baar tujhe aql ne chaahaa thaa bhulaanaa
sau baar junun ne tiri tasvir dikhaa di
yahi hai zindagi apni yahi hai bandagi apni
ki un kaa naam aayaa aur gardan jhuk gai apni
Ghazalग़ज़ल
chashm-e-nam par muskuraa kar chal diye
चश्म-ए-नम पर मुस्कुरा कर चल दिए
kuchh is tarah nigaah se izhaar kar gae
कुछ इस तरह निगाह से इज़हार कर गए
ab is tarah sitam-e-rozgaar hotaa hai
अब इस तरह सितम-ए-रोज़गार होता है
maanaa maqaam-e-ishrat-e-hasti buland hai
माना मक़ाम-ए-इशरत-ए-हस्ती बुलंद है
ehsaas-e-khushi miT jaataa hai afsurda tabiat hoti hai
एहसास-ए-ख़ुशी मिट जाता है अफ़्सुर्दा तबीअ'त होती है
yusufi gar nahin mumkin to zulekhaai kar
यूसुफ़ी गर नहीं मुमकिन तो ज़ुलेख़ाई कर





