Sher
"tohmat si liye phirte hain sadiyon se sar apne rusva hai bahut naam yahan ahl-e-hunar ka"
"jazbon ko zaban de raha huun main vaqt ko daan de raha huun"
جذبوں کو زبان دے رہا ہوں میں وقت کو دان دے رہا ہوں
जज़्बों को ज़बान दे रहा हूँ मैं वक़्त को दान दे रहा हूँ

"tohmat si liye phirte hain sadiyon se sar apne rusva hai bahut naam yahan ahl-e-hunar ka"
"ye safar apna kahin janib-e-mahshar hi na ho ham liye kis ka janaza hain ye ghar se nikle"
"samne us yaar ke bhi aur sar-e-darbar bhi ek ye dil tha jise har baar khuun karna paDa"
"kaun apna hai ik khuda vo bhi rahne vaala hai asmanon ka"
"mila hai takht kise kaun takht par na raha ye baat aur hai jaari tha jo safar na raha"