Sher
"misl-e-mausam jo badalte to koi baat na thi tu ne to badla hai girgiT ki tarah rang apna"
"ranj-o-gham aur alam-o-dard ka lashkar nikle ishq to tab hai jab ankhon se samandar nikle"
رنج و غم اور الم و درد کا لشکر نکلے عشق تو تب ہے جب آنکھوں سے سمندر نکلے
रंज-ओ-ग़म और अलम-ओ-दर्द का लश्कर निकले इश्क़ तो तब है जब आँखों से समंदर निकले

"misl-e-mausam jo badalte to koi baat na thi tu ne to badla hai girgiT ki tarah rang apna"
"hone do agar ho ga.e kuchh log bure bhi gulshan men agar phuul hain to khaar bhi honge"
"laDka na koi phir se ho barbad dahr men tujh par na jaa.en beTiyan teri khuda kare"
"kyon main us husn ko hasin kahun jis ki zinat hi be-haya.i ho"
"ik baar men hi tu mira qissa tamam kar qiston men kar raha hai bhala qatl kyon mujhe"
"baDa hi farq hai ai yaar ham donon ke jazbon men tumhen mujh se mohabbat thi mujhe tum se mohabbat hai"