Sher
"uThaya us ne biiDa qatl ka kuchh dil men Thana hai chabana paan ka bhi khuun bahane ka bahana hai"
"na aa.i baat tak bhi munh pe ro.ab-e-husn-e-janan se hazaron soch kar mazmun ham darbar men aa.e"
نہ آئی بات تک بھی منہ پہ رعب حسن جاناں سے ہزاروں سوچ کر مضمون ہم دربار میں آئے
न आई बात तक भी मुँह पे रोब-ए-हुस्न-ए-जानाँ से हज़ारों सोच कर मज़मून हम दरबार में आए

"uThaya us ne biiDa qatl ka kuchh dil men Thana hai chabana paan ka bhi khuun bahane ka bahana hai"
"na puchho ham-safaro mujh se majra-e-vatan vatan hai mujh pe fida aur main fida-e-vatan"
"har dam dam-e-akhir hai ajal sar pe khaDi hai dam-bhar bhi ham is dam ka bharosa nahin karte"
"le qaza ehsan tujh par kar chale ham tire aane se pahle mar chale"
"hua yaqin ki zamin par hai aaj chand-gahan vo maah chehre pe jab Daal kar naqab aaya"
"rah-e-ulfat men mulaqat hui kis kis se dasht men qais mila koh men farhad mujhe"