Sher
"kis se shikva karen virani-e-hasti ka 'hayat' ham ne khud apni tamannaon ko jiine na diya"
M
Masooda Hayat"tamam umr bhaTakte rahe jo rahon men dikha rahe hain vahi aaj rasta mujh ko"
تمام عمر بھٹکتے رہے جو راہوں میں دکھا رہے ہیں وہی آج راستا مجھ کو
तमाम उम्र भटकते रहे जो राहों में दिखा रहे हैं वही आज रास्ता मुझ को
"kis se shikva karen virani-e-hasti ka 'hayat' ham ne khud apni tamannaon ko jiine na diya"
"hazar shauq numayan the jis nazar se kabhi vahi nigah baDi ajnabi si lagti hai"
"khushbu si koi aa.e to lagta hai ki tum ho shisha kahin Takra.e to lagta hai ki tum ho"
"ek khushbu si ubharti hai nafas se mere ho na ho aaj koi aan basa hai mujh men"
"ghar se jo shakhs bhi nikle vo sambhal kar nikle jaane kis moD pe kis haath men khanjar nikle"
"ye kya ki aaj koi naam tak nahin leta vo din bhi the ki har ik lab pe baat apni thi"