Sher
"nazar karta nahin nashsha-labon par ki jis ke haath paimane lage hain"
"jo log aa rahe hain tumhare qarib-tar muD kar vo su-e-sham-o-sahar dekhte nahin"
جو لوگ آ رہے ہیں تمہارے قریب تر مڑ کر وہ سوئے شام و سحر دیکھتے نہیں
जो लोग आ रहे हैं तुम्हारे क़रीब-तर मुड़ कर वो सू-ए-शाम-ओ-सहर देखते नहीं

"nazar karta nahin nashsha-labon par ki jis ke haath paimane lage hain"
"vo aur honge jin ko hai fikr-e-ziyan-o-sud duniya se be-niyaz hai meri ghazal ka rang"
"ik ashk-e-nadamat se dhul jaate sabhi isyan ik ashk-e-nadamat tak pahuncha hi nahin koi"
"jo kah rahe the khuun se sinchenge gulsitan vo hamiyan-e-fasl-e-baharan kidhar ga.e"
"har shai se ho ke kyon na rahe be-niyaz vo har shai jahan men jis ko tamasha dikha.i de"
"mazaq-e-khud-parasti ek kamzori hai insan ki bayan kar ke haqiqat ye uThaya hai ziyan ham ne"