Sher
"mujh men thoDi si jagah bhi nahin nafrat ke liye main to har vaqt mohabbat se bhara rahta huun"
"teri dahliz pe iqrar ki ummid liye phir khaDe hain tire inkar ke maare hue log"
تیری دہلیز پہ اقرار کی امید لیے پھر کھڑے ہیں ترے انکار کے مارے ہوئے لوگ
तेरी दहलीज़ पे इक़रार की उम्मीद लिए फिर खड़े हैं तिरे इंकार के मारे हुए लोग

"mujh men thoDi si jagah bhi nahin nafrat ke liye main to har vaqt mohabbat se bhara rahta huun"
"dekhte rahte hain khud apna tamasha din raat ham hain khud apne hi kirdar ke maare hue log"
"na intizar karo kal ka aaj darj karo khamoshi toD do aur ehtijaj darj karo"
"khud apne qatl ka ilzam Dho raha huun abhi main apni laash pe sar rakh ke ro raha huun abhi"
"jashn hota hai vahan raat Dhale vo jo ik khali makan hai mujh men"
"main adhura sa huun us ke andar aur vo shakhs mukammal mujh men"