Sher
"itna to jazb-e-ishq ne baare asar kiya us ko bhi ab malal hai mere malal ka"
"hamare aib ne be-aib kar diya ham ko yahi hunar hai ki koi hunar nahin aata"
ہمارے عیب نے بے عیب کر دیا ہم کو یہی ہنر ہے کہ کوئی ہنر نہیں آتا
हमारे ऐब ने बे-ऐब कर दिया हम को यही हुनर है कि कोई हुनर नहीं आता

"itna to jazb-e-ishq ne baare asar kiya us ko bhi ab malal hai mere malal ka"
"ham to apnon se bhi begana hue ulfat men tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aa.i"
"ai sanam vasl ki tadbiron se kya hota hai vahi hota hai jo manzur-e-khuda hota hai"
"na sikandar hai na daara hai na qaisar hai na jam be-mahal khaak men hain qasr banane vaale"
"kis tarah milen koi bahana nahin milta ham ja nahin sakte unhen aana nahin milta"
"daulat nahin kaam aati jo taqdir buri ho qarun ko bhi apna khazana nahin milta"