Sher
"anjam-e-hijr kya hai ye tum khud hi dekh lo ham intizar-e-yar men patthar ke ho ga.e"
"masarraton ke bahut as-pas bhi na rahe khuda ka shukr magar ham udaas bhi na rahe"
مسرتوں کے بہت آس پاس بھی نہ رہے خدا کا شکر مگر ہم اداس بھی نہ رہے
मसर्रतों के बहुत आस-पास भी न रहे ख़ुदा का शुक्र मगर हम उदास भी न रहे

"anjam-e-hijr kya hai ye tum khud hi dekh lo ham intizar-e-yar men patthar ke ho ga.e"
"ye duniya hai yahan kuchh bhi ho lekin vahan sharmindagi hone na paa.e"
"halat ham se shahr ke yuun puchhte hain log jaise ham aadmi nahin akhbar ho ga.e"
"allah ne bakhshi hai mujhe aisi basirat dariya bhi hua jaata hai qatra mire aage"
"dil hi TuuTa ho kuchh ajab to nahin ashk ankhon men be-sabab to nahin"
"zer-e-asar nahin hai kisi rahnuma ke ham malik isi liye hain khud apni raza ke ham"