Sher
"tum mire paas hote ho goya jab koi dusra nahin hota"
"le shab-e-vasl-e-ghair bhi kaaTi tu mujhe azma.ega kab tak"
لے شب وصل غیر بھی کاٹی تو مجھے آزمائے گا کب تک
ले शब-ए-वस्ल-ए-ग़ैर भी काटी तू मुझे आज़माएगा कब तक

"tum mire paas hote ho goya jab koi dusra nahin hota"
"ho ga.e nam-e-butan sunte hi 'momin' be-qarar ham na kahte the ki hazrat parsa kahne ko hain"
"ham samajhte hain azmane ko uzr kuchh chahiye satane ko"
"kuchh qafas men in dinon lagta hai ji ashiyan apna hua barbad kya"
"itni kudurat ashk men hairan huun kya kahun dariya men hai sarab ki dariya sarab men"
"chara-e-dil siva.e sabr nahin so tumhare siva nahin hota"