Sher
"main to har dhuup men sayon ka raha huun juuya mujh se likhva.i sarabon ki kahani tum ne"
"bastiyan kaise na mamnun hon divanon ki vus.aten in men vahi laate hain viranon ki"
بستیاں کیسے نہ ممنون ہوں دیوانوں کی وسعتیں ان میں وہی لاتے ہیں ویرانوں کی
बस्तियाँ कैसे न मम्नून हों दीवानों की वुसअ'तें इन में वही लाते हैं वीरानों की

"main to har dhuup men sayon ka raha huun juuya mujh se likhva.i sarabon ki kahani tum ne"
"jin khayalon ke ulaT pher men uljhin sansen un men kuchh aur bhi sanson ka izafa kar len"
"raat ke baa'd vo sub.h kahan hai din ke baa'd vo shaam kahan jo ashufta-sari hai muqaddar us men qaid-e-maqam kahan"
"ibrat-abad bhi dil hote hain insanon ke daad milti bhi nahin khun-shuda armanon ki"
"meri ankhon hi men the an-kahe pahlu us ke vo jo ik baat suni meri zabani tum ne"
"kabhi faslon ki masafaton pe ubuur ho to ye kah sukun mira jurm hasrat-e-qurb hai to yahi kami yahan sab men hai"