Sher
"mahv-e-safar huun khitta-e-duniya ke us taraf aur khud ko hoshiyar nahin kar raha huun main"
"mujh ko faqat shajar ki numu se hai vasta sahra ko saya-dar nahin kar raha huun"
مجھ کو فقط شجر کی نمو سے ہے واسطہ صحرا کو سایہ دار نہیں کر رہا ہوں
मुझ को फ़क़त शजर की नुमू से है वास्ता सहरा को साया-दार नहीं कर रहा हूँ

"mahv-e-safar huun khitta-e-duniya ke us taraf aur khud ko hoshiyar nahin kar raha huun main"
"dil par pahan liya hai vo gajre ke jaisa shakhs lekin gale ka haar nahin kar raha huun main"
"Tiis uTThi thi kahin zer-e-zamin aur idhar shahr ka shahr makanon se nikal aaya tha"
"dariya se to muahida tai pa gaya magar kashti ka e.atibar nahin kar raha huun main"
"ye vaqt kaifiyat se bharta nahin kabhi ye jaam ikhtiyar nahin kar raha huun main"
"avaz ko ghubar nahin kar raha huun main mahaul dagh-dar nahin kar raha huun main"