Sher
"ai buto ranj ke sathi ho na aram ke tum kaam hi jab nahin aate ho to kis kaam ke tum"
"tu na aa.ega to ho ja.engi khushiyan sab khaak iid ka chand bhi khali ka mahina hoga"
تو نہ آئے گا تو ہو جائیں گی خوشیاں سب خاک عید کا چاند بھی خالی کا مہینہ ہوگا
तू न आएगा तो हो जाएँगी ख़ुशियाँ सब ख़ाक ईद का चाँद भी ख़ाली का महीना होगा

"ai buto ranj ke sathi ho na aram ke tum kaam hi jab nahin aate ho to kis kaam ke tum"
"sunoge haal jo mera to daad kya doge yahi kahoge ki jhuTa hai tu zamane ka"
"mohabbat qadr-dan hoti to phir kaahe ka rona tha hamen bhi tum samajhte tum ko jaisa ham samajhte hain"
"dil ko main apne paas kyuun rakkhun tu hi le ja agar ye tera hai"
"meri arman bhari aankh ki tasir hai ye jis ko main pyaar se dekhunga vahi tu hoga"
"main masiha use samajhta huun jo mire dard ki dava na kare"