"un ko aati thi niind aur mujh ko apna qissa tamam karna tha"

Muztar Khairabadi
Muztar Khairabadi
Sherशेर
See all 209 →un ko aati thi niind aur mujh ko
उन को आती थी नींद और मुझ को
ankhen na churao dil men rah kar
आँखें न चुराओ दिल में रह कर
hasraton ko koi kahan rakkhe
हसरतों को कोई कहाँ रक्खे
unhon ne kya na kiya aur kya nahin karte
उन्हों ने क्या न किया और क्या नहीं करते
us se kah do ki vo jafa na kare
उस से कह दो कि वो जफ़ा न करे
use kyuun ham ne diya dil jo hai be-mehri men kamil jise aadat hai jafa ki
उसे क्यूँ हम ने दिया दिल जो है बे-मेहरी में कामिल जिसे आदत है जफ़ा की
Popular Sher & Shayari
418 total"ankhen na churao dil men rah kar chori na karo khuda ke ghar men"
"hasraton ko koi kahan rakkhe dil ke andar qayam hai tera"
"unhon ne kya na kiya aur kya nahin karte hazar kuchh ho magar ik vafa nahin karte"
"us se kah do ki vo jafa na kare kahin mujh sa use khuda na kare"
"use kyuun ham ne diya dil jo hai be-mehri men kamil jise aadat hai jafa ki jise chiDh mehr-o-vafa ki jise aata nahin aana gham-o-hasrat ka miTana jo sitam men hai yagana jise kahta hai zamana but-e-be-mahr-o-dagha-baz jafa-pesha fusun-saz sitam-khana-bar-andaz ghazab jis ka har ik naaz nazar fitna mizha tiir bala zulf-e-girah-gir gham-o-ranj ka baani qalaq-o-dard ka mujib sitam-o-jaur ka ustad jafa-kari men mahir jo sitam-kesh-o-sitam-gar jo sitam-pesha hai dilbar jise aati nahin ulfat jo samajhta nahin chahat jo tasalli ko na samjhe jo tashaffi ko na jaane jo kare qaul na puura kare har kaam adhura yahi din-rat tasavvur hai ki nahaq use chaha jo na aa.e na bula.e na kabhi paas biTha.e na rukh-e-saf dikha.e na koi baat suna.e na lagi dil ki bujha.e na kali dil ki khila.e na gham-o-ranj ghaTa.e na rah-o-rasm baDha.e jo kaho kuchh to khafa ho kahe shikve ki zarurat jo yahi hai to na chaho jo na chahoge to kya hai na nibahoge to kya hai bahut itrao na dil de ke ye kis kaam ka dil hai gham-o-andoh ka maara abhi chahun to main rakh duun ise talvon se masal kar abhi munh dekhte rah jaao ki hain un ko hua kya ki inhon ne mira dil le ke mire haath se khoya"
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
musibat aur lambi zindagaani
buzurgon ki duaa ne maar Daalaa
ilaaj-e-dard-e-dil tum se masihaa ho nahin saktaa
tum achchhaa kar nahin sakte main achchhaa ho nahin saktaa
mire gunaah ziyaada hain yaa tiri rahmat
karim tu hi bataa de hisaab kar ke mujhe
na kisi ki aankh kaa nuur huun na kisi ke dil kaa qaraar huun
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar huun
bichhaDnaa bhi tumhaaraa jite-ji ki maut hai goyaa
use kyaa khaak lutf-e-zindagi jis se judaa tum ho
Ghazalग़ज़ल
dil le ke hasinon ne ye dastur nikaalaa
दिल ले के हसीनों ने ये दस्तूर निकाला
jab kahaa tiir tiri aankh ne aksar maaraa
जब कहा तीर तिरी आँख ने अक्सर मारा
kaise dil lagtaa haram mein daur-e-paimaana na thaa
कैसे दिल लगता हरम में दौर-ए-पैमाना न था
ik naqsh-e-khayaal ru-ba-ru hai
इक नक़्श-ए-ख़याल रू-ब-रू है
teri rangat bahaar se nikli
तेरी रंगत बहार से निकली
jaan ye kah ke but-e-hosh-rubaa ne le li
जान ये कह के बुत-ए-होश-रुबा ने ले ली





