Sher
"rail dekhi hai kabhi siine pe chalne vaali yaad to honge tujhe haath hilate hue ham"
"ek din donon ne apni haar maani ek saath ek din jis se jhagaDte the usi ke ho ga.e"
ایک دن دونوں نے اپنی ہار مانی ایک ساتھ ایک دن جس سے جھگڑتے تھے اسی کے ہو گئے
एक दिन दोनों ने अपनी हार मानी एक साथ एक दिन जिस से झगड़ते थे उसी के हो गए

"rail dekhi hai kabhi siine pe chalne vaali yaad to honge tujhe haath hilate hue ham"
"tabah kar to duun zahir-parast duniya ko ye a.ine bhi mire log hi banate hain"
"jamhuriyat ke biich phansi aqaliyat tha dil mauqa jise jidhar se mila vaar kar diya"
"tum to sardi ki hasin dhuup ka chehra ho jise dekhte rahte hain divar se jaate hue ham"
"phir is mazaq ko jamhuriyat ka naam diya hamen Darane lage vo hamari taqat se"
"kuchh na tha mere paas khone ko tum mile ho to Dar gaya huun main"